Site icon TellyResearch

Tum se tum tak: 22 October Full episode Review, “AryaVardhan” trap Jalandhar and Propose’ Anu.

Spread the love

Toh serial ‘Tumse Tum Tak’ ke aane wale track mein, ab jaha hone wali hai ek dum ghamaasan fight Aryavardhan aur Jalandhar ke beech mein.

Tum Se Tum Tak AryaVardhan, Anu, Neel and Jalandhar Images sources YouTube and Hostar!

Ek taraf toh Aryavardhan ye plan kar raha tha ki woh Badi Diwali pe surprise karega, matlab propose karega hamaari Anu ko. Lekin wahin doosri taraf Jalandhar ka plan toh kuch aur hi hai. Aryavardhan soch raha hai ki woh Neel ko use karke Jalandhar ke khilaaf use pakad kar uska chapter band kar dega.

Lekin wahin par Jalandhar bhi kahi kamzor nahi pad raha hai. Woh seedhe pahunch jaayega Anu ke paas aur usko pakad kar seedhe apni kaid mein kar lega aur Aryavardhan ko majboor karne wala hai. Use kamzor karne wala hai kyunki ek Anu hi toh hai uski kamzor kadi. Yeh baat ab Jalandhar bahut achchi tarike se jaan chuka hai. Pata chalne wala hai usey bahut jald ki Aryavardhan uske paas aane wala hai.

Yeh Bhi Padhen ;- Tum Se Tum Tak : 19th October|Anu ka Big Revenge, Arya ke saamne aaya Neel ka saara sach.

Lekin filhaal dekhna kaafi interesting hoga kyunki ab Aryavardhan ke saamne Jalandhar face to face hone wala hai aur iss jung mein, iss sangharsh mein, Annu mohra banne wali hai. Filhaal ek secret baat yeh hai ki Anu ko bachaayega Aryavardhan, woh bhi Jalandhar ke shikanje se aur wahin par use waha se bachakar apne saath lekar aayega. Yeh jo proposal hai, yeh sab iss fight ke baad mein hi hone waala hai lekin hoga bahut jald.

Watch here is the Ep- Clips.

AryaVardhan will be close Anu!

Aryavardhan aur Anu ki nazdikiyan badhne lagi hai.

Filhaal dekhna bahut interesting hoga kyunki ab toh romantic scene chalu hone wale hai hamaare Aryavardhan aur Anu ke beech ke. Jalandhar ka jo chapter hai, bahut jald Aryavardhan use close karta hua nazar aayega kyunki yeh kahani ab bahut lambi nahi chalne wali hai Jalandhar ki. Bahut jald use ab close kar hi dega Aryavardhan. Lekin filhaal dekhna kaafi interesting hoga kyunki ab Anu aur Aryavardhan ke proposal ke baad mein aayegi baari, ab Sharma ji ke saamne shaadi ka proposal rakhne ki.

Woh kaise karega Aryavardhan? Yeh sabse bada sawaal hai kyunki Aryavardhan ke liye ab Anu ke parents ka manna bahut zaroori hai kyunki woh toh bina ab Anu ki zidd ke manenge nahi. Kyunki woh bhi jaante hai ki inke beech mein age gap kitna zyada hai aur issi wajah se woh iss rishte ke liye kabhi raazi nahi hone wale hai.

Yeh bhi Padhen;- Actor Pankaj Dheer Ji: The legendary “Karn” of the Mahabharat, died of Cancer’ at the age of 68.

Lekin filhaal ab Anu aur Aryavardhan kya karenge unko manane ke liye, dekhna kaafi interesting hoga. Ab aane wale episode mein Aryavardhan aur uske saath saath Anu ke beech mein nazdikiyan phir se badhte hue nazar aane wali hai. Beech mein jo dooriyan ho rahi thi woh nazdikiyon mein convert ho jaayengi.


Lekin yaha par Neel ko poori tarah se ab Jhende aur Aryavardhan ne ek aisa kaam karaya hai jo ki yaha par poori tarah se ab Jalandhar ko fasa kar rakh sakta hai. Lekin Jalandhar koi yaha par bekaar player nahi hai balki usne yaha par ek aisi baat kar di hai jo ki ab Aryavardhan ko hi chauka kar rakh degi. Aryavardhan ka plan hai ki usne Neel se call karaya aur kuch aise documents ki baat ki jisse ki Jalandhar se milne ki jagah yaha par decide ho sake.

Yeh bhi Padhen;- Bigg Boss 19: Latest episode 50 ‘Amaal and Abhishek’ got physical in the Nomination task, Teekhi Pani-Puri.

Ab Jalandhar se milne ki jagah decide hone se pehle hi yaha par poori tarah se ab aane wale episode mein kaafi zyada bada twist. Jalandhar ko call gaya, Jalandhar ko kuch baatein samajh mein aayi, kuch baatein khatak gayi. Issi wajah se usne saara ka saara yaha par plan badal diya. Aane wale episode mein ab Jalandhar ko lagne wala hai sabse bada jhatka. Lekin usse pehle hi usne saare plan badal diye hai ki usko problem na ho aur yaha par usne ab Aryavardhan ke upar hi daav khel liya hai.

Aryavardhan ka plan tha ki aakhir mein usne Jalandhar ko bula toh liya hai. Woh jayega Jalandhar ko bhi pakdega lekin usse pehle Anu se milkar apne dil ki baat karega. Ek nayi life ki shuruaat karega. Uske baad mein woh Jalandhar ke paas mein jaayega. Lekin Jalandhar ne toh saara paasa hi palat diya hai.

Woh pehle Aryavardhan se pehle hi Anu ke paas mein pahunch chuka hai. Anu ke paas mein pahunchne ke baad mein kuch aisi baatein bata di hai yaha par ab poori tarah se Anu ko jo ki kaafi zyada chaukaane wali hai aur uske saath saath issi dauran Aryavardhan aur Jalandhar ka aamna saamna hone wala hai.

Yeh bhi Padhen;- Naagin 7: Amazing Release date and All Cast List, almost’ confirmed.

Donon ek doosre ke aamne saamne aane wale hai aur Jalandhar aur Aryavardhan ka aakhir mein kya hai yaha par maanjara. Unka past kya hai? Woh bhi bahut jaldi sabke saamne khulega. Toh aap kitne zyada excited hai sab dekhne ke liye comment karke zaroor batana. Tab tak ke liye bane rahiye humare saath mein aur dekhte rahiye serial Tum Se Tum Tak.

Exit mobile version