Tanya Mittal ne Amaal Malik ki photo ko kiss kiya, bataya Malti Chahar ne Shahbaz aur Neelam ko. Bigg Boss 19 ke latest episode 47 mein.

Bigg Boss 19 ke episode 47 jo ki 9th October ko release hua, jismein humein agle week ke liye captaincy task ho rahi thi Bigg Boss dwara, total 4 rounds the jismein chauthe round mein Amaal ki photo thi. Usko 20 minute ke andar, jo alag-alag parts mein photo tha, usko ek karna tha. Jiske liye do contestants ek saath rahenge aur dono mein se jo 20 minute ke andar zyada photo ko jodega, Amaal ki pic ko, woh agle hafte captain banne ke liye davedar hoga. Aur Amaal ki photo ke task ke liye Bigg Boss ne Tanya Mittal aur Malti Chahar ko bulaya. Toh jab Malti Chahar aur Tanya Mittal us task ko play kar rahe the, tab Tanya Mittal dwara kuch parts ko ikatthe kiye gaye parts ko Malti ne hatane ki koshish ki, toh Tanya ka lips sat gaya Amaal ki pic par. Toh turant Malti ne pucha ‘Kya tumne kiss kiya photo ko?’ Toh turant Tanya ne bola ‘Nahi re.’ Toh jab Malti ne Amaal ke photo ke ek part ko kiss karne ko bola, toh Tanya Mittal ne bola ki ‘Mujhe jise kiss karna hai woh wait kar raha hai.
Malti Chahar ne bola Tanya Mittal ki family ke baare mein.
‘Toh uske baad Tanya Mittal ne Malti Chahar ko bataya ki ‘Jab se tu pehle hi din se aayi hai tab se mujhe apni baaton se darane ki koshish kar rahi hai lekin main nahi dari.’ Toh Malti ne kaha ki ‘Nahi dari aur darana padhega kya?’ Toh Tanya ne bola ‘Try karo
Phir Tanya Mittal ne boli ki ‘Tu kyun mujhe darna chahti hai? Tujhe kya lagta hai ki main samajh nahi rahi hun?’ So Malti Chahar ne bola ki ‘Samajh gayi lekin jab tu bahar jaakar dekhegi toh tujhe samajh mein aayega ki tujhe kitna samajhna chahiye tha pehle. Main tujhe darane nahi rahi thi, bas tujhe samajh rahi hun!’ Toh Tanya Mittal ne bola ki ‘Mujhe samajhne ki zarurat nahi hai.’ Malti maine bola na eshwar aayenge mere liye, So Malti Chahar ne bola ki ‘I hope aaye zarurat padegi tujhe. Tere family ko padegi – Itne pyaar se samajh rahi hun samajh nahi aa raha hai tujhe!’ So Tanya Mittal ne pucha ‘Family ko matlab?’ Toh Malti ne bataya ki ‘Tere baare mein jo cheezein hain woh bahar achchi nahi hai toh isliye.’

Toh Tanya Mittal ne pucha ki ‘Kya achcha nahi hai?’ Toh Malti ne bola ki ‘Tu jab bahar jayegi toh tujhe pata chalega ki kya achcha tha aur kya bura tha, yaha jo tu bol rahi hai wahi bahar dikhai ja rahi hai, kuch negative nahi banaya ja raha hai tere bare main jo sach hai main wahi bol rahi hun.’

So task complete hone ke baad Tanya Mittal ne sabko bataya ki ‘Malti bol rahi thi ki tumhare family ko tumhari zarurat padegi kyunki tumhare baare mein bahar sab cheez theek nahi chal rahi hai. Matlab Malti mujhe samajhne ki koshish kar rahi hai ki tu jo kar rahi hai woh bahar sahi nahi dikh raha hai aur tere family ko bura lag raha hai tumhari wajah se mazak ban raha hai, tere baare mein galat trend chal raha hai toh tujhe apna game badalna chahiye.
So ghar walon ne bola ki ‘Koi baat nahi tu yahan hai yahan ki chinta kar abhi toh task jeet gayi hai aur captain banne ki davedar mein shamil ho gayi hai. Toh khush reh.

‘ Phir baad mein Shahbaz ne Malti se pucha ki ‘Kya hua tha?’ Toh Malti ne bataya ki ‘Sabse pehle toh literally maine apni aankhon se dekha ki Tanya ne letkar Amaal ke photo ko kiss kiya, toh maine usse bola ki Amaal ki photo ke tukde pekne se pehle ki ise kiss karna hai?’ toh Tanya ne bola ki ‘Kaisi bate kar rahi hai.’

So jo Malti ne Tanya ko bataya uski wajah se Tanya ko lag raha hai ki sach mein uske baare mein bahar galat chal raha hai isliye Tanya Mittal ke baat maan rahi hai. Par Zeeshan Tanya ko samjha rahe hain ki ‘Tu uski baatein mat maan tu meri baat maan kyunki woh bas tujhe khel rahi hai, usne khud bola hai ki tu bahut strong contestant hai toh woh tere saath khel rahi hai!
Par Tanya Mittal, Zeeshan Qadri ki baat nahi maanti hai, kyunki Malti ki baatein sunne ke baad Tanya ko lag raha hai ki bahar uske baare mein kuch galat cheezein phail rahi hain. Unki baaton ko log galat maan rahe hai, isiliye log Tanya Mittal ke ghar jaakar dekh rahe hain ki unki baatein jo woh bolti hai Bigg Boss house mein, woh kitni sach hai.
Yeh baatein jab Malti Chahar ne Tanya Mittal ko batayi hai ki log tumhari baat jo tum bolti ho usko sach nahi mante hai isiliye woh yeh janne ke liye tumhare ghar jaakar pata karte hai ki tum kitni sach bol rahi ho, aur Malti yeh bhi Tanya Mittal ko batai hai ki khud Malti Chahar ke dost Tanya Mittal ke ghar jaakar pata kar rahe hai ki Tanya Mittal ne jo bola hai wo sach hai ya nahi.
So yeh baatein sunne ke baad Tanya Mittal ko tension ho rahi hai, kyunki jab bhi family ka naam aata hai toh Tanya Mittal ka give up ho jata hai. Kyunki jab inko online trolling karte hai log toh unko tension hone lagta hai. Kyunki issi saal unke saath 2 baar aisa hi hua hai ki jab unhone Kumbh Mela mein 14 ghante tak logon ki jaan bachayi thi toh yeh baat sach bola tha toh logo ne kaha tha ki yeh ladki farzi hai, jhooth ke liye jaan bachai thi aur ab yahaan yeh phir se ho raha hai. Yaha bhi sabko inki baatein jhoothi lag rahi hai.
So Zeeshan Qadri ne samjhaya ki toh yaha jo karti hai woh tere hisab se sahi hai na? Toh matter khatam. Jab log kuch nahi kar paate hai toh naam badnaam kar dete hain.









Leave a Reply to Nehal Kapde pehen ke baat kar’: Malti Chahar's shocking comment for Nehal Chudasama on Bigg Boss 19. – TellyResearch Cancel reply