Tumse tum tak upcoming twist, Anu aur Arya mandir mein shaadi nahi karenge, Breaking

Spread the love

Last Updated on 1 month ago by Rajesh Pandit

Anu aur Arya mandir mein shaadi nahi karenge, kar diya hai khulasa Simran aur Jhende toh Anu aur Arya ko kisi aur bahane ko banaakar lekar toh gaye hain mandir mein dono ki shaadi karwane ke liye lekin unki yeh koshish poori nahi hone wali hai.

Anu aur Arya mandir mein shaadi toh inki nahi hogi, Anu jayegi wapas apne ghar. Tum Se Tum Tak upcoming twist

Telly News ;- Tumse Tum Tak ke latest episode mein joh dhamaakedaar twist aane wala hai woh bahut hi zyada shocking hone wala hai because jab se Anu aur Arya ki shaadi hone ki wajah Anu ki shaadi doctor Mohit se ho rahi hai tab se Jhende apne dost Arya ki dukh ko nahi dekh pa raha hai.

Isi wajah se usne decide kar liya hai ki kaise bhi karke Anu aur Mohit ki shaadi ko tod Anu ki shaadi Aryavardhan se karaye, isiliye woh har ek tareeke ko apnane ki koshish kar raha hai jis ki wajah se woh Anu aur Arya ko phir se ek kar sake.

Isiliye haal hi mein joh Anu ke shaadi ho rahi hai Mohit se us shaadi ki main mauke se Anu ki bulakar mandir mein Arya se shaadi karwane ki koshish karne wale hain Jhende lekin yeh inki plan ho jayegi fail, because Arya aur Anu aise galat tareeke se shaadi karne ki koshish bilkul bhi nahi kar sakte hain.

Woh apne maa-baap ke khilaaf Anu jakar ke shaadi nahi kar sakti because woh apne maa-baap ke khushi ke liye hi Arya ko chhod Mohit se shaadi kar rahi hai toh ish wajah se woh kisi bhi prakaar se aise galat kadam nahi utha sakti aur Arya bhi ish cheez ke bilkul bhi khilaaf hoga kyunki woh nahi chahta ki uski wajah se Anu ko koi pareshaani ho ya phir uske mummy papa ko koi bhi dikkat ho.

[ Yeh bhi padhen;- Jaane Anjaane Hum Mile ja Chuka Under Scanner: TRP Girte Hi Show Par Badha Danger Zone mein, Breaking ]

Anu aur Arya Mandir Mein Shaadi Kar Rahe Hain Yeh Khabar Gopal ji ko!

Anu aur Arya mandir mein shaadi kar rahe hain yeh khabar mili Anu ki family ko. Actually baat yahan yeh hai ki Jhende Arya ko jhooth bolkar ushe apne saath mandir mein shaadi karne ke liye lekar jata hai, Arya ko nahi batata hai ki woh usko kyun ish samay par lekar ja raha hai aur kahaan lekar ja raha hai.

Aur doosri taraf Anu ko Simran bulaakar lekar jati hai jhooth bolkar bina poori baat bataaye aur Gopal ji ko bhi jhooth bol deti hai ki Anu ko abhi main doosre kaam se liye baahar lekar ja rahi hoon.

Ab aise mein shayad Raghu Pati ko shak ho jata hai ki ismein kuch na kuch gadbad hai ish wajah se woh Raghu Pati Anu ka peechha karte huwe chala jata hai aur udhar jahan Jhende aur Simran dono milkar Anu aur Arya ki mandir mein shaadi karane ki koshish kar rahe thaye, uske liye un dono ko jahan lekar jaate hain aur wahan par Raghu Pati ko pata chal jata hai ki yeh dono mandir mein jakar shaadi karne wale hain isiliye un logon ko wahan lekar jaya gaya hai.

Toh uske baad kya hota hai ki Raghu Pati seedha chale jata hai ghar Anu ke papa ko bata deta hai woh bhi Mohit ke maa ke saamne hi ki Anu bahut hi giri hui ladki hai woh kisi bhi izzatdaar ghar ki bahu banne ki laayak nahi hai.

Ab yeh baat sunkar Mohit ke maa ke saamne Gopal ji bahut apne aap ko control karne ki koshish karte hain lekin woh Raghu Pati Anu ke charitra par lagatar laga raha tha aarop par aarop jis ke wajah se Gopal ji apne gusse ko kaabu nahi kar paate hain aur unka gussa phoot jata hai Raghu Pati par.

[ Yeh bhi padhen;-  Tum Se Tum Tak jaisa new show Coming Soon on colors TV, full details ]

So, Serial tumse tum tak ka aane wala episode bahut hi zyada intense ho chala hai, aap dekhenge ki kaise aa jati hai Anu ki hone wali saas Anu ke ghar par lene haldi taaki haldi ki rasam ko poora kiya ja sake.

Isse pehle ki woh haldi lekar wahan se jati wahan par aa jata hai Raghu Pati aur woh apne purane ranjishon ka badla lena shuru kar deta hai, woh Anu ki hone wali saas ke saamne hi mohalle walon ko bulata hai aur Anu ke charitra par sawaal khada karta hai batata hai ki Anu kis tarah ki charitrheen ladki hai.

Itna hi nahi woh Anu par aarop lagata hai ki woh toh ish shaadi se bhi faraar ho chuki hai, Anu ka pita batata hai Anu ki hone wali saas ko ki aisa kuch bhi nahi hai, Raghu Pati ke bete ke saath Anu ka rishta tay hua tha lekin yeh shaadi hui nahi thi isi baat ka gussa Raghu Pati nikaal raha hai.

Yeh baat sunte hi Anu ki hone wali saas aur bhi zyada hairaan ho jati hai aur Raghu Pati lagataar Anu ke character par bolta hai jis se Anu ke pita aag baboola ho jaate hain aur ho jati hai haathaapai, Anu ke pita apni beti ki buraai sun nahi paate hain aur toot padte hain Raghu Pati par aur mohalle mein hi ho jati hai ladai.

Lekin uske baad hi Pushpa ji Anu ko ghar wapas lekar aa jati hai, yeh dekhkar Raghu Pati shocked ho jata hai ki Anu toh Aryavardhan se shaadi karne ke liye nikal chuki thi lekin woh wapas kaise aa gayi.

Ab yahan par Pushpa ji usko samjhaati hai ki Anu mandir hi gayi thi aur mandir mein ise dhoondhne waqt mujhe bahut hi zyada samay lag gaya isiliye aane mein late ho gaya aur Anu jis prakaar se yeh galat kadam uthane ki wajah woh wapas ghar chali jati hai ish wajah se uska joh bhi karne wala tha joh uski family ki badnaami hone wali thi woh hone se ruk jati hai sab kuch phir se set ho jata hai aur ek baar phir Raghu Pati ki yeh bhi mauka bekaar ho jata hai.


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Join Instagram
Join Now