Tumse Tum Tak First February 2026 Full Episode Written Update, Anu ke ghar pahunche doctor Mohit ke mummy aur usi samay Arya aur Gayatri ji breaking.

Spread the love

Last Updated on 2 months ago by Rajesh Pandit

Tumse tum tak ke full episode hone wala hai bahut hi interesting aur bahut zyada twist, Anu ke ghar pahunchne wale hain do-do sadasya doctor Mohit aur Arya aur Gayatri ji.

Arya aur Gayatri Ji and Mohit aur unki maa sabhi ek sath pahunche Anu ke ghar.
Arya aur Gayatri Ji dono pahunche Anu ke ghar. Images source zee5.com

Telly news;-  tumse tum tak ke aane wale episode bahut hi zyada majedar hote hue dekhne ko milne wala hai, kyunki yahan par toh Anu ne thukra diya hai proposal Aryavardhan ki lekin Aryavardhan ab itna zyada pyar karne laga hai Anu se ki pehli baar Anu ke ish decision se bahut hi zyada dukh hua Arya ko aur woh uska aansu bhi nikal aaya usne roya.

Ab yeh dekh Jhande ko bahut hi zyada gussa aa jata hai Anu par aur gusse mein pahunch jata hai Anu ke ghar aur Anu ko samjhata hai ki tum ne Aryavardhan ka dil tod diya hai.  Jab Aryavardhan tumse door bhagta tha toh tum uske aur nazdeek aane ki koshish karti thi lekin jab Aryavardhan tumhare paas aane ki koshish kar raha hai aur tumhare zindagi mein aane ki koshish kar raha hai toh ab tumne munh mod liya reject kar diya Aryavardhan ko.

Par Anu kare bhi to kare kya woh to majboor hai uske mummy papa yeh nahi chahte hain ki Aryavardhan yaani 10 saal bade umar wale sadasya se Anu shaadi karein isiliye Gopal ji seedha-seedha bol dete hain Jhande ko ki maine mana kiya hai shaadi karne ke liye aur Jhande unki baaton se samajh jata hai ki kya baat hai.

Ab gusse mein woh phir wapas ja raha tha Aryavardhan ke paas toh Arya phone  kar ke poochta hai ki tum kahaan gaye thaye toh Jhande bolta hai ki main gaya tha Anu se milne aur usse baat karne ki joh tumhare saath kiya hai uske baare mein, toh Arya bolta hai ki Anu jaroor kisi majboori ke kaaran aisa kiya hai Anu aisi ladki nahi hai toh Jhande bolta hai ki tumne sahi bola aisa hi hua hai.

Jhande ka kehna tha ki Anu apne maa papa ke khushi ke liye tumse yeh rishta toda hai woh majboor hai kyunki uske papa nahi chahte hain ki woh tumse shaadi kare kyunki tumhari umar ka joh bandh hai woh bahut hi zyada lamba hai aur ushe paar karna bahut hi zyada mushkil hone wala hai.

[ Yeh bhi padhen;Tum Se Tum Tak 21th January full episode written update, Aaryavardhan ke kidnapping ki news suan Anu ho chuki hai bawli. ]

Ab yeh baatein sun Aryavardhan shocked ho jata hai aur use yeh lagne lagta hai andar hi andar ki ab Anu uski kabhi nahi ho payegi hamesha hamesha ke liye reject kar diya hai ushe isiliye ushe Anu ke saath bitaye hue pal ka jhalak yaad aane lagta hai.

Anu ke Ghar Pahunche Arya aur Gayatri Ji aur Saath Hi Doctor Mohit aur Unki Maa

Ab jab yeh baatein Gayatri ji ko pata chalne wali hai ki Aryavardhan ko Anu ne reject kar diya hai toh woh bahut hi zyada shocked hone wali hai kyunki yahan unko shak hone laga hai Aryavardhan ke dukhi dekhkar ki kuch toh gadbad hua hai aur gadbad woh Anu aur Arya ke beech mein hi hua hai because jo Arya ne liya hua tha Angoothi Anu ko dene ke liye woh angoothi gayab hoti hai aur ish cheez ki pata chal jati hai Gayatri ji ko.

Aur yahan tak ki Arya unse jhooth bolne lagta hai ki woh kahin gum ho gayi hai lekin woh uski jhooth pakad leti hai aur woh tab se soch mein pad jati hain ki aakhir Aryavardhan kisko diya hai! kahaan gaya hai uska yeh angoothi joh woh Anu ke liye khareed kar rakha tha, usse dene ke liye.

Arya ne chhupai Gayetri ji ne Baat

Toh woh Arya se poochne ke baad Aryavardhan unko jawab nahi deta hai to woh seedha pahunch jati hai Anu ke ghar saari jaankari pata karne ke liye lekin jab Aryavardhan dhoondhta hai unko to ushe pata chalta hai Pandit ji ke dwaara ki woh to yahan hai hi nahi Arya ne jo unko jawab nahi diya tha jis sawaal ka woh ush sawaal ka jawab dhoondhne ke liye woh kahin gayi hui hai.

To Arya unki ish baaton se samajh jata hai ki woh kahin aur nahi Anu ke ghar hi gayi hongi so woh bhi seedha chala jata hai Anu ke ghar apni maa ke paas. Aur wahan doosri taraf Anu ke ghar mehmaan ki swagat ki taiyariyan chal rahi hoti hain aur Teesri taraf Anu ko pata hi nahi hota hai ki uske ghar koi mehmaan aane wala hai lekin jab usse yeh pata chalta hai ki kaun mehmaan aane wala hai toh woh poori shocked ho jati hai.

Kyunki woh toh chhoti si bachchi hai nahi woh badi hai aur woh samajhdaar hai so woh baatein sunkar samajh jati hai ki woh kyun aa rahe hain unke ghar.

Doctor Mohit aur unki mAa Anu ke ghar

So Anu poochti hai Gopal ji se to batate hain ki doctor Mohit aur unki maa aa rahi hai aaj hamare ghar par to yeh baatein sunkar Anu ko samajh mein aa jata hai ki Gopal ji aur Pushpa ji doctor Mohit ko isiliye invite kiye hain kyunki woh Anu ke saath unka shaadi karwana chahte hain. Par bhale hi unke apne family ke kehne ke baad Anu ne Arya se rishta tod diya hai lekin woh sachcha pyar karti hai Arya se isiliye yeh baat sunkar woh shocked ho jati hai.

Ab dekhne wali baat toh yeh rahegi ki jaise hi Aryavardhan ki mummy wahan pahunchegi Arya bhi pahunchega turant Mohit apne maa ke saath wahan bhi pahunch jayenge ab toh charon ek saath honge toh wahan kuch na kuch gadbad hone ki chances rahegi lekin dekhne wali baat toh yeh rahegi ki kaise sambhalegi Anu woh dekhna kaafi zyada interesting hone wala hai ki jab Mohit aur unke maa aur Arya aur uski maa ek saath Anu ke paas honge to kya hoga us waqt situation.


Read more: Tumse Tum Tak First February 2026 Full Episode Written Update, Anu ke ghar pahunche doctor Mohit ke mummy aur usi samay Arya aur Gayatri ji breaking.
Tags

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Join Instagram
Join Now