Last Updated on 1 month ago by Rajesh Pandit
.
Anu aur Mohit ki shaadi nahi balki Anu aur Arya ki shaadi hone wali hai. Ho gaya hai khulasa, chaliye jante hain kya hai puri wajah.

Telly News:- Tumse Tum Tak ke aane wala episode ab bahut hi jyada majedar hone wala hai because aapko ek good news milne wali hai show mein jis cheez ka aap intezar kar rahe the ki Anu aur Arya ki hi shaadi ho bajaye Mohit aur Anu ki. Toh finally ab aisa hi hone ja raha hai.
Toh Tumse Tum Tak ka ek naya promo aaya hai jisme saaf saaf dikhaya ja raha hai ki Anu aur Mohit ki shaadi ho rahi thi mandap mein lekin wahin par ek bada twist aata hai, Mohit khud hi shaadi ko chhod deta hai aur Anu aur Arya ke liye is shaadi ko karne se peecha hat jata hai.
[ Yeh bhi padhen;- Jaane Anjaane Hum Mile ja Chuka Under Scanner: TRP Girte Hi Show Par Badha Danger Zone mein, Breaking ]
Kya hogi ab Anu aur Arya ki shaadi?
Well Zee TV ke popular serial Tumse Tum Tak mein in dino Anu ki shaadi ko lekar bahut hi saari twist and turn aa rahi hai. Uski shaadi Gopal ji aur Pushpa ji Arya ki jagah Doctor Mohit se karwa rahe hain because Arya ki age sabse jyada hai woh adhed umra ka insaan hai isliye woh nahi chahte hain ki Anu ki shaadi unse ho aur unki badnami ho.
Isliye woh Doctor Mohit ke saath shaadi karwa rahe hain aur yeh baat unhone nahi bataya tha Doctor Mohit ko aur uske family ko lekin Raghupati ki wajah se Doctor Mohit ko aur unke family ko saari jankari pata chal jati hai.
Toh waise toh Doctor Mohit ki mummy papa toh is shaadi ke liye raazi rahte hain because unko aisa lagta hai ki Anu apni marzi se Doctor Mohit se shaadi kar rahi hai. Lekin Doctor Mohit ko Anu ki haal aur rahan sahan dekh kar samajh mein aa jata hai ki Anu is shaadi se bilkul bhi khush nahi hai.
Aur agar Anu khush nahi hai toh main bhi khush nahi rah paunga aur Anu Arya sir se pyar karti hai toh woh bhi agar shaadi nahi hoti un dono ki toh woh dono bhi khush nahi rahenge main bhi khush nahi rah paunga to phir yeh shaadi hi vyarth rahegi.
Toh isi wajah se jab Anu aur Mohit ki shaadi ho rahi hoti hai mandap mein toh wahan par Mohit ne khud Aryavardhan ko invite kiya tha Anu aur uski shaadi mein to Arya ko aana hi pada tha.
Toh wahin pe jab Anu aur Doctor Mohit phere le rahe hote hain toh usi waqt dono apne man hi man sochte hain ki woh dono apni jagah par sahi the lekin halat galat the.
Anu yeh sochti hai ki uske papa Gopal ji ke khushiyon ke saamne uski khushi chhoti pad gayi isliye halat badal gaye aur ab woh bahut hi aage nikal chuka hai aur ab kuch nahi ho sakta because in dono ki halat ne itna bebas kar diya ki ab mushkil hai in dono ko phir se ek hona yeh sochti hai Anu.
Aur dusri taraf Arya yeh sochta hai ki woh Anu ki shaadi apne aankhon ke saamne dekh raha hai kisi aur ke saath hote hue aur use yeh bhi pata hai ki na Anu galat hai aur na woh galat hai bas galat hai toh is samay unki halat galat hai.
Par yahan par aati hai ek bada twist Mohit khud ruk jata hai phere lene se aur bolne lagta hai ki agar yeh shaadi hui toh na Anu khush rah payegi aur na Mohit kyunki aur na hi Arya sir.
Toh yahi baat hai ki Arya aur Anu ki kahani ek dusre se hi shuru hoti hai aur ek dusre pe hi khatam. Isi wajah se Mohit apni shaadi Anu se karne se rok deta hai aur Anu ki haath Arya ke haathon mein thama deta hai. Yani ki un dono ko ek kar deta hai aur un dono ki isi mandap mein shaadi karne ki salah dega.
[ Yeh bhi padhen;- Tumse tum tak upcoming twist, Anu aur Arya mandir mein shaadi nahi karenge, Breaking ]
Anu aur Arya ki shaadi ko accept kar payenge Gopal ji?
Lekin, Ab yahan pe Gopal ji toh nahi chahte hain ki Anu aur Arya ki shaadi ho lekin yahan par ek naya mod aa gaya hai Arya ki Anu ki shaadi karane ke liye bol deta hai Mohit to ab yeh dekh aur sun kar Gopal ji toh shocked ho hi jate hain baaki sab bhi shocked ho jaane wale hain.
Toh ab yahan pe dekhne wali baat yeh rahegi ki kya Gopal ji Arya aur Anu ki shaadi karne ke liye taiyar hote hain ya nahi Mohit ke kahne par.
Aur kya Mohit Anu aur Arya ki shaadi mein jo archane aa rahi hai jiski wajah se uska solution dega ya nahi yeh aane wala episode mein hi pata chalne wala hai. Toh dekhna na bhule bahut hi jyada interesting hone wali hai aur majedar bhi aur entertainment bhi bahut milne wali hai.
Rajesh Pandit is the founder of Telly Research, a digital platform dedicated to the latest news, updates, reviews, and analysis related to Indian television serials, movies, influencers, and the entertainment industry. With years of experience in television and online content creation, Rajesh Pandit has one goal: to bring Verified, fast, and engaging News & Updates to TV, Movie, and Social Media Influencer lovers. Stay connected to the Telly Research Network for daily Telly news, promo breakdowns, movies, Influencers, and Exclusive News & updates related to your favorite Creators and Actors.
Leave a Reply