Site icon TellyResearch

Tum Se Tum Tak : 19th October|Anu ka Big Revenge, Arya ke saamne aaya Neel ka saara sach.

Spread the love

Serial Tum Se Tum Tak ke aane wale track mein, ab Aryavardhan aur Anu ke beech mein toh sab kuch theek ho gaya hai. Lekin Aryavardhan ko pata chal chuka hai Neil ka asli sach.

Tum Se Tum Tak Arya ko mili Neel ke pass se wohi Roomal jo Jalandhar ne Anu ko di thi!


Uski asli identity ki aakhirkar woh kaun hai? Woh Jalandhar se mila hua hai. Iss bare mein usse pata toh chal hi chuka hai uske rumaal se. Lekin wahin par doosri taraf ab Jhende aur Aryavardhan milkar track karne wale hai Jalandhar ko. Kyunki woh ab Neel ke zariye pahunchne wale hai ab Jalandhar ke address tak. Lekin usse pehle hi Jalandhar ek next step leta hua nazar aayega aur woh step yeh hai ki woh Anu ke ghar par pahunchne wala hai.

Tum Se Tum Tak Neel ka sach aaya Arya ke samne!

Tum Se Tum Tak : Arya ki planing


Anu se baat karne ke liye pahunchne wala hai. Lekin ab Aryavardhan bhi ek naya plan bana raha hai ki woh apne dil ki saari baatein Anu ko jaakar batayega aur usse propose karega aur uske liye jo usne ring kharidi thi woh ring usse gift karega. Jaise hi Aryavardhan pahunchta hai Anu ke ghar par, Anu se milne ke liye, usse baat karne ke liye, bas wahin par bada dhamaka ho jata hai kyunki wahan par already Jalandhar maujood hai aur woh ab past ki baatein kured kured kar Anu ke saamne nikaalne wala hai, jiske baad mein ab Aryavardhan thoda sa ghabra jayega!

Lekin filhal yeh jo Aryavardhan aur Anu ke beech ka bond hai, jo relation hai, woh Jalandhar todne mein nakamyab hoga aur Jalandhar ko samajh mein nahi aayega ki aakhirkar in dono pyaar karne walo ko woh alag kaise kare kyunki yeh uski bas ki baat nahi hone wali hai. Filhal, Arya aur Anu dono milkar Jalandhar ko buri tarike se chakma denge aur usse bahut zyada pareshan kar denge.

Yeh bhi Padhen:- Naagin 7: Amazing Release date and All Cast List, almost’ confirmed.


Filhal dekhna kaafi interesting hone wala hai kyunki ab Aryavardhan pahunchne wala hai Jalandhar ke address par aur wahan par jaise hi woh pahunchega woh Jalandhar ke upar hamla karne ki koshish karega.

Iss baar toh ab Aryavardhan chukne wala hai kyunki Jalandhar wahan se nikal jaega, lekin filhal ab bahut jald Jalandhar ka khel katham karte hue Aryavardhan nazar aane wala hai aur yeh jo love story hai humare love birds ki, Arya aur Anu ki, bahut jald aage badhne wali hai kyunki ab Arya Anu se shaadi ki preparations karne wala hai.

Exit mobile version